Saturday, September 30, 2006

Farz Karo .....

My Lates Nazam for your comments:

Farz karo yeh saree nazmain saree ghazlain
Jhoot hoteen, afsanay hotay
Farz karo woh saree batain, saray waday
Jhoot hotay aur dhokay hotay
Farz karo woh chandnee ratain, shabname subhain,
Jo hum nay saath beeta-ay thay
Bas faqat samjhota hotay
Farz karo baylay key lareeaan, choree key kareean
Bay rang hoteen bay saaz hoteen
Aur farz karo k hum dono..... 'hum' na hotay
May aur tum hotay
Aur farz karo-yeh phool, hawa, barish aur titlee
Bas mehaz istay-ary hotay
Farz karo piyar, mohabbat waday wafa sub
Khawahishon k raylay hotay
Farz karo woh saree nibah kay payma-an
Mattee k gharonday hotay
Aur had-day nigah dil key gahraion k paas paas -farz karo koee na hota
Na may, na tum, na hum
Sirf gumnaam hawa ka jhonka hota, raat hotee aur bay-bas see aik khawahish hotee
Meree soch to is say agay ab ataknay lagtee hay
Magar meree jaan
Sach batao, k agar yeh sab such hota
To tum ko yeh sab kaisa lagta?

ciao

2 Comments:

Blogger GH said...

Nice ending! I liked it.

3:41 PM  
Blogger Aks.. said...

:) ya ending is interesting..

12:05 AM  

Post a Comment

<< Home